Monday, February 7, 2011

SAB IMAM WALLI THY

Imam Malik jo k Fiqah k Imamon main se 1 Imam hain un ki zindagi sirf ilm-e-Fiqah tk hi  mehdood nahi thi bl k wo 1 suche ASHIQ-E-RASOOL[S.A.W.W] b hain jo log ye samajhte hain  k wo bs Fiqah ka ilm hi rakhte hain wo log galat samajhte hain.Dr haqeeqat unhon ne Imam Malik k bare main prha hi nahi hai.read more...
  • un k Ishq ka ye Alam tha k main bayan nahi kr skta 4 qadam pe Madina Munawara se Makah Mukaramah hai sara jahan hr sal umrah k liye jata hai magar unhon ne 1 farz Hajj ada kia or 90 baras umer pai or sari zindagi Kabatullah dekhne nahi gay Umrah krne nahi gay nafli Hajj krne nahi gay k kaheen Madina se bahir niklon Khuda jane kaheen mout na a jay kia ye Imam ki soch hai Ullamah is trhan sochte hain nahi ye to Auliya ki soch hai ye to Ashiqon ki soch hai.Or jo is khayal se k kaheen Madina k bahir mout na a jay sari zindagi nafali Umrah or Hajj krne nahi jate to phir un ki is mohabbat ka sila kia milta hai Imam Zahbi or Imam Ibne Jozi ko prhain puri zindagi hr raat khuwab main Tajdare Kayanat ki ziarat hoti thi hr raat Huzoor milte the kia hr raat Huzoor Ulmah ko milne ki fiqar krte hain nahi ye to kachehri walon ki batian hain bl k Huzoor to apne ghulamon ko milne ate hain.Jitne b Imam hain jin ko Imam samjha jata hai Hadith main Fiqh main jo Imam bne wo faqat Ullmay zahir na the log un ko ilme zahir k tbahur k hawale se jante hain un ki zindagi k shabo roz khangal k dekhain to Khuda ki Qasam un main hr shaks Wali tha.
  • Imam Jalaluddeen Sayuti [R.A] b koi aam hasti nai hain wo sirf muhadis or mufasir na thy blke wo b sahib-e-karamat the log un ko sirf muhadis or mufasir jante hain halan k un ka muqam is qadar buland hai k unhonne 72 mrtaba apni zindagi main bedari ki halat main Tajdar-E-Kayanaat ki ziarat ki yahan ye bat qabil-e-ghor hai k bedari main Sarkar[S.A.W.W] ki ziarat ki yani khuli ankhon se Sarkar ka didar kia jaise k Sahaba karam Sarkar ko dekha krte the faraq sirf itna hai Sahaba karam Sarkar ko us wqt dekha krte the jb Sarkar zahri tor pe hayat the or Imam ne us wqt Sarkar ka didar kia jb mere Aqa zahri tor pr to prda frma gay lakin wo ab b zinda hain aj b un k suche ghulam un ka didar krte hain.Perda to sirf hm jaise gunah garon ki ankho pr hai lakin Sarkar aj b Ahl-E-Nazar ki ankhon k samne hain or Ahl-E- Nazar hazrat aj b billa hijab MOHAMMAD [S.A.W.W] ki ziarat krte hain.

    TU ZINDA HAI WALLAH TU ZINDA HAI WALLAH
    MERI CHASHM-E-ALAM SE CHUP JANE WALE

0 comments:

Post a Comment

.